ads

Breaking News

NEET Exit Exam News,After NEET Exit Exam Compulsory For all,MBBS Exit Exam,

NEET Exit Exam News,After NEET Exit Exam Compulsory For all,MBBS Exit Exam


Yaha par abhi sabse bari khabar hai MBBS Graduates ke liye ki ab chae koi foregin se medical kare ya apne Indian se medical kare usko MBBS graduate ka degree lene ke liye NMC[National Medical Council Of India] ka exit exam dena hi parega aur agar isme koi bhi student fail ho jata hai ya koi student iss exam ko nhi deta hai tab uska degree ko wapas le liya jayega.yah exam har 6 month par conduct karaya jayega aur iss exam ko dene ki koi bhi limit nhi hai student jab tak chae tab tak iss exam ko de sakta hai jab tak vo iss exam ko pass na kar jaye

NEET Exit Exam News,After NEET Exit Exam Compulsory For all,MBBS Exit Exam,
NEET EXIT EXAM  2018

Issi ke sath NEET exit exam ke alawa ek aur naya exam ko bhi laya gaya hai agar ab koi bhi doctor apna private practice karna cahata hai to usko bhi alag se exam de kar pass hona parega aur tab jaa kar vo apna private parctice kar sakta hai nhi to usko private practice karne ki permission nhi di jayegi.

Jab tak MBBS Graduates NEET ke exit exam ko nhi pass kar lete hai tab tak unki degree ki koi value nhi hai aur vo kisi kaam ki nhi hai aur vo uss degree se koi bhi fayda nhi uttha sakte hai.aur agar vo iss exit exam ko diye bina apni degree ka use karte hai to unko kari se kari saza ka samna karna par sakta hai aur ve fir kabhi bhi doctor nhi ban payege.


NEET Exit exam colleges ke main semester ke khatam hone ke baad hi liya jayega exit exam pass na hone par aapki degree ki koi value nhi hai vo sirf ek raddi ka tukra ban kr rah jayega.Sarkar ne ye kadam desh me ho rahe ghotale hone ke karan uthaya hai.aaj kal jisse dekho vo paiso ke dam par doctor ki degree liye ghoom raha hai aise me sarkar ko koi to thos kadam uthana hi tha isliye sarkar ne ye naya kadam uthaya hai iski kai log tarif bhi kar rahe hai aur sarkar ke iss faisle ka samarthan bhi kar rahe hai.


dosto aapko sarkar ka ye faisla kaisa laga hame comment kar ke jaroor bataye aur aapko koi sawal ya sujhaw ho to comment karna na bhule.Dhanavayad

No comments